Forbes ne 2017 mein sabse zyada kamane walay 100 Indians ki fehrist jari ki hai Bollywood king Shahrukh Khan, Salman Khan aur Indian cricketer Virat Kohli ne aamdani ke lehaz se sab ko piche chor diya.
Mumbai (Taza News network) American Journal Forbes ne 2017 mein sabse zyada kamane walay 100 Indians ki fehrist jari ki hai jis ke mutabiq rawan saal Bollywood ke badshah Shahrukh Khan, dabangg adakar Salman Khan aur Indian cricketer Virat Kohli aamdani ke lehaz se sab se agay rahay.
In 100 indians mein se 10 Ameer tareen afrad ki fehrist mandarja zail hai.
#1 Salman Khan
Actor Salman Khan sirf kehne ke Sultan nahi hai balki rawan saal woh aamdani ke lehaaz se bhi sab se agay rahay. Forbes ki top 100 indian shakhsiyat ki fehrist mein Salman Khan ne 232 crore 83 lakh rupay kama kar pehla number haasil kya hai.
#2 Shahrukh Khan
Bollywood king Shahrukh Khan 2017 mein do films “Raees” aur “Jab Harry Met Sejal” mein nazar aaye. Film Raees to box office par kamyab ho gayi lekin “Jab Harry Met Sejal” tassur jamanay mein nakaam rahi.
Films ke ilawa Shahrukh Khan ne apne production house, IPL aur ishtiharaat waghera ki mad mein 170 crore 50 lakh rupay kamaye hain jis ke sath unhon ne fehrist mein doosri position haasil ki hai.
#3 Virat Kohli
Indian cricket team ke captain Virat Kohli rawan saal 100 crore 72 lakh rupay kama kar India ke sab se ziyada kamanay walay afraad ki fehrist mein teesray number par rahay.
#4 Akshay Kumar
Bollywood ke action hero Akshay Kumar rawan saal film “Toilet: Ek Prem Katha”, “Jolly LLB 2” aur “Naam Shabana” mein nazr aaye.
Films ki tadaad mein aage rehne ke sath Akshay kumar kamaai mein bhi agay rahay aur 98 crore 25 lakh ki raqam kama kar choutha number haasil karne mein kamyaab rahay.
#5 Sachin Tendulkar
Indian cricket team ke sabiq player Sachin Tendulkar waise to cricket se retirement le chuke hain lekin aamdani ke lehaz se ab bhi bohat agay hain. Sachin Tendulkar ki rawan saal kamaai majmoi tor par 82 crore 50 lakh rupay rahi.
#6 Aamir Khan
Bollywood ke Mr. Perfectionist Aamir Khan bhi rawan saal film “Secret Superstar” mein nazar aaye. Woh 68 crore 75 lakh kama kar chhatay number par Virajman hai.
#7 Priyanka Chopra
Hal hi mein Asia ki purkashish tareen khatoon ka aizaz apne naam karne wali naamwar Bollywood adakara Priyanka Chopra kamaai ke lehaz se deegar tamam adakaraon ko peechay chorte hue ravan saal 68 crore kamaye aur fehrist mein saatwan number hasil karne mein kamyab rahen.
#8 Mahendra Singh Dhoni
Indian cricket team ke sabiq captain Mahendra Singh Dhoni ne 63 crore 77 laakh rupay kama kar 100 indian ameer tareen shakhsiat mein aathween position haasil ki hai.